Tere daman k hawa mangate hain

Bookmark and Share
Tere daman k hawa mangate hain
hum bhi jine k dua mangate hain

mutribo koi achuta nagma
saz aahang-o-sada mangate hain

mah-o-anjum ke jharoke aksar
kisi ke aariz ke dua mangate hain

phir patangon mein khudai jagi
shole hashr-numa mangate hain

banda-paravar koi khairat nahi
hum vafaon ka sila mangate hain

maikada ho ke kalisa “sagar”
sari duniya ka bhala mangate hain

{ 0 comments... Views All / Send Comment! }

Post a Comment